Teri Chhaya Mein, Tere Charnon Mein,
Magan Ho Baithoon, Tere Bhakton Mein ॥
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai,
Zindagi Milti Hai Roton Ko Hansi Milti Hai ॥
Ik Ajab Si Masti Tan Man Pe Chhati Hai,
Har Ik Zubaan Tere O Maiya Geet Gaati Hai ।
Bajte Sitaron Se Meethi Pukaron Se,
Goonje Jahan Saara Tere Oonche Jaikaron Se ॥
Masti Mein Jhoome Tera Dar Choome,
Tere Charon Taraf Duniya Ye Ghoome ।
Aisi Masti Bhi Bhala Kya Kahin Milti Hai,
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥
Meri Sheron Wali Maa Teri Har Baat Achhi Hai,
Karni Ki Poori Hai Mata Meri Sachhi Hai ।
Sukh-Dukh Bantati Hai Apna Banati Hai,
Mushkil Mein Bachche Ko Maa Hi Kaam Aati Hai ॥
Raksha Karti Hai Bhakt Apne Ki,
Baat Sachhi Karti Unke Sapnon Ki ।
Saari Duniya Ki Daulat Yahin Milti Hai,
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥
Rota Hua Aaye Jo Hansta Hua Jaata Hai,
Man Ki Muradon Ko Wo Paata Hua Jaata Hai ।
Kismat Ke Maaron Ko Rogi Bimaron Ko,
Kar De Bhala Changa Meri Maa Apne Dularon Ko ॥
Paap Kat Jaaye Charan Choone Se,
Mehakti Hai Duniya Maa Dhune Se ।
Phir To Maa Aisi Kabhi Kya Kahin Milti Hai,
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥