READING MODE
20


|| STUTI ||

Hai Dhanya Teri Maya Jag Mein,

O Duniya Ke Rakhwale ।

Shiv Shankar Damru Wale ॥


Namami Shankar...

Namami Har Har...

Namami Devi Maheshwara...

Namami Paar Brahma Parameshwara...

Namami Bhole Digambara...


|| BHAJAN ||

Hai Dhanya Teri Maya Jag Mein,

O Duniya Ke Rakhwale ।

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Jo Dhyan Tera Dhar Le Man Mein,

Wo Jag Se Mukti Paaye ।

Bhav Sagar Se Uski Naiya,

Tu Pal Mein Paar Lagaye ॥

Baba Pal Mein Paar Lagaye,

Baba Pal Mein Paar Lagaye ।

Sankat Mein Bhakton Ko Badh Kar,

Tu Bhole Aap Sambhale ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Hai Koi Nahi Is Duniya Mein Tere Jaisa Vardani,

Nit Sumiran Karte Naam Tera,

Sab Sant Rishi Aur Gyani ॥

Baba Sant Rishi Aur Gyani,

Baba Sant Rishi Aur Gyani ।

Na Jaane Kis Par Khush Hokar,

Tu Kya Se Kya De Daale ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Trilok Ke Swami Hokar Bhi,

Kya Aughad Roop Banaye ।

Kar Mein Damru Trishul Liye,

Aur Naag Gale Laptaye ॥

Bhole Naag Gale Laptaye,

Bhole Naag Gale Laptaye ।

Tum Tyag Ke Amrit Peete Ho,

Nit Prem Se Vish Ke Pyale ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Tap Khandit Karne Kamdev Jab,

Indralok Se Aaya ।

Aur Saadh Ke Apna Kaam Baan,

Tujh Par Wo Moorkh Chalaya ॥

Bhole Pe Moorkh Chalaya,

Bhole Pe Moorkh Chalaya ।

Tab Khol Teesra Nain Bhasm,

Usko Pal Mein Kar Daale ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Jab Chali Kalika Krodhit Ho,

Khappar Aur Khadag Uthaye ।

Tab Hahakaar Macha Jag Mein,

Sab Sur Aur Nar Ghabraye ॥

Sab Sur Aur Nar Ghabraye,

Tum Beech Dagar Mein Sokar,

Shakti Devi Ki Har Daale ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥


Ab Drishti Daya Ki Bhakton Par,

He Damrudhar Kar Dena ।

Sharma Aur Lakkha Ki Jholi,

Bhole Shankar Bhar Dena ॥

Bhole Shankar Bhar Dena,

Apna Hi Baalak Jaan Hamein Bhi,

Charnon Mein Apna Le ॥

Shiv Shankar Damru Wale,

Shiv Shankar Bhole Bhale ॥