READING MODE
20


|| BHAJAN ||

Suniyo Suna Raha Hoon Ek Dastan Hai,

Sawan Ka Mahina Bada Pavan Mahan Hai ।

Suniyo Suna Raha Hoon Ek Dastan Hai,

Sawan Ka Mahina Bada Pavan Mahan Hai ॥


Lakhon Kanwadiya Jaate Hain Shri Baba Dham Ko,

Japte Hue Umang Mein Bam Bam Ke Naam Ko ।

Iklauta Beta Baap Ka Mata Ka Naunihal,

Kanwad Chadhane Ke Liye Wo Bhi Chala Ek Saal ॥


Uski Patni Boli Ki Aapke Sang Main Bhi Jaungi,

Kanwad Aapke Saath Mein Jaakar Chadhaungi ।

Khushiyon Mein Jhoomte Hue Wo Dono Chal Pade,

Bhole Ko Jal Chadhane Ke Liye Ghar Se Nikal Pade ॥


Sultanganj Mein Pahunchkar Jahan Se Jal Bhara Jaata Hai,

Ganga Ke Kinare Khush Hokar Dekhne Lage Nazare ।

Pati Bola, Aa Raha Hoon Main Snaan Kar Abhi Phir Peechhe Tu Nahana,

Aa Jaun Main Jabhi Aur Kood Pada Ganga Ji Mein Dubki Lagaya ।

Phir Wo Laut Kar Wahan Wapas Nahi Aaya ॥


Patni Ko Chhod Akeli Gaya Sansar Mein,

Wo Bah Gaya Shri Ganga Ji Ki Beech Dhaar Mein ।

Charon Taraf Mein Jaise Ek Cheetkaar Mach Gaya,

Ganga Ke Kinare Mein Hahakaar Mach Gaya ॥

Patni Pachhad Khaati Thi Roti Thi Zaar Zaar,

Ki Bhole Tune Loot Liya, Mera Sone Ka Sansar ॥


Kanwad Chadhane Aaye The Khushiyon Mein Jhoomte,

He Kanwad Chadhane Aaye The Khushiyon Mein Jhoomte ।

Par Loot Gayi Ab Bhole Ji Main Tere Dwar Mein ॥

Lo Sambhalo...

Lo Sambhalo Prabhu Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Lo Sambhalo...

Lo Sambhalo Bhole Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Ho Loot Liya...

Loot Liya Tumne Mere Sone Ke Sansar Ko,

Kar Diya Veeran Mehakte Hue Gulzaar Ko ।

Kaun Keh Raha Hai Ke Tu Daani Dayavan Hai,

Deen Aur Nirbal Par Sada Gehra Meherban Hai ॥

Aaj Sabhi Baat Teri Maine Liya Jaan Hai,

Bas Nirdayi Kathor Hai Patthar Ka Tu Bhagwan Hai ॥


Are Uth Gaya Vishwas Mera Aaj Tere Naam Se,

Kya Kahungi Duniya Ko Ja Karke Tere Dham Se ।

Main Bhi Chali Jaungi Duniya Se Naata Todkar,

Ab Yahin Mar Jaungi Patthar Se Sar Ko Phod Kar ॥


Tab Dekh Ke Us Dukhiya Ko Sab Log Taras Khaate The,

Koi Deta Tha Tasalli Aur Kai Samjhaate The ।

Par Nahi Tha Usko Apni Deen Aur Duniya Ka Khayal,

Faadti Thi Tan Ke Kapde Nochti Thi Sar Ke Baal ॥

Aur Phir Kabhi Kehti Thi Bhole Jhooth Tera Naam Hai,

Deen Aur Dukhiyon Ke Aata Nahi Kaam Hai ॥


Ye Lo Sambhalo...

Ye Lo Sambhalo Prabhu Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Lo Sambhalo Bhole Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Paanv Mein Chhale Pade Kumhla...

(Jo Log Kabhi Kanwad Utha Ke Baba Ko Jal Chadhane Gaye Hain, Wo Jaante Hain Ki Pairon Ki Haalat Kya Hoti Hai. Aur Aise Bhi Sachchai To Ye Hai)

Iraade Saikdon Bante Hain Banke Toot Jaate Hain,

Iraade Saikdon Bante Hain Banke Toot Jaate Hain ।

Aur Kanwar Wahi Uthate Hain Jinhein Bhole Bulate Hain ॥


Paanv Mein Chhale Pade Kumhla Gaya Komal Badan,

Maare Bhookh Pyaas Ke Hoti Thi Kanth Mein Jalan ।

Aur Baal The Bikhre Hue Kapde Badan Ke Taar Taar,

Raah Mein Gir Padti Thi Behosh Ho Ke Baar Baar ॥

Tab Dekh Ke Haal Ek Sant Ko Aayi Daya,

Aur Paani Pila Karke Poochhne Lage Beti Bata ॥


Are Haal Zara Apna Suna De Yahan Pe Baithkar,

Kis Liye Tu...

Kis Liye Tu...

Kis Liye Tu Phir Rahi Hai Maari Maari Dar Badar ।

Ro Ke Wo Kehne Lagi Bas Phoot Gaya Bhaag Hai,

Aaj Is Duniya Mein Lut Gaya Hai Suhaag Hai ॥


Sant Bole...

Sant Bole Beti Tu Himmat Se Zara Kaam Le,

Ek Dafa Bhole Prabhu Ka Prem Se Tu Naam Le ।

Dete Hain Sabko Sahara Wo Unhi Ko Yaad Kar,

Jo Bhi Tujhko Kehna Hai Chalke Wahi Fariyaad Kar ॥


Wo Cheekh Karke Kehne Lagi Jhootha Tera Gyan Hai,

Is Jagat Mein Koi Bhi Ishwar Hai Na Bhagwan Hai ।

Maarne Us Sant Ko Patthar Utha Aage Badhi,

Aur Tharthara Ke Is Tarah Kehte Hue Wo Gir Padi ॥


Ye Lo Sambhalo...

Ye Lo Sambhalo Bhole Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Ho Lo Sambhalo Prabhu Apni Kanwar,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe,

Lut Gayi Main Abhagan Yahan Pe ॥


Phir Saikdon Ho... Aa...

(Aakhir Us Pati Patni Ka Milaap Bhole Ke Darbar Mein Kaise Hua Aur Wo Sant Kaun The)


Phir Saikdon Kanwadiyon Ki Kanwad Jhapat Tod Di,

Maar Ke Patthar Na Jaane Kitnon Ke Sar Phod Di ।

Aur Peechhe Peechhe Peechhe... Aa Gayi Wo Bhole Ji Dwar Mein,

Gir Padi Wo Aundhe Munh Shiv Shambhu Ke Darbar Mein ॥

Aur Boli Cheekh Maarke Kya Tu Hi Wo Bhagwan Hai,

Are Kar Diya Bagiya Ko Mere Tune To Veeran Hai ॥


Kya Mila O Nirdayi Suhaag Mera Lootkar,

Rone Lagi Siskiyan Le-Le Ke Phoot-Phoot Kar ।

Ke Hai Agar Bhagwan To Kyon Saamne Aata Nahi,

Bijli Aasman Se Kyon Mujhpe Girta Nahi ॥

Aur Sar Ko Patakne Lagi Shiv Ling Pe Wo Baar Baar,

Behne Lagi Sar Se Uske Charon Taraf Khoon Ki Dhaar ॥


Ke Aaj,

Are Aaj To Preetam Ko Apne Leke Main Chal Jaungi,

Varna Tere Dham Mein Sar Phod Ke Mar Jaungi ।

Phir Ho Gayi Behosh To Kuch Logon Ne Milkar Use,

Ek Jagah Lita Diya Mandir Se La Bahar Use ॥

Logon Ne Samjha Ye Kinara Jagat Se Kar Gayi,

Ye Kaun Thi Bechari Aaj Aake Yahan Mar Gayi ॥


Phir Aayi Ek Aawaz Are Bhagyawan Zara Aankh Khol,

Phir Aayi Ek Aawaz Bhagyawan Zara Aankh Khol ।

Prem Se Shiv Bhole Ji Ke Naam Ki Jaikaar Bol,

Are Prem Se Shiv Bhole Ji Ke Naam Ki Jaikaar Bol ॥


Wo Chaunkkar Dekhne Ko Kholi Jab Apni Nazar,

Chaunkkar Dekhne Ko Kholi Jab Apni Nazar ।

Uske Pati Hi Ki God Mein Rakha Tha Uska Sar,

Boli Pati Se Lipat Ke Kaisa Chamatkaar Hai ॥

Hans Ke Pati Bola Ye Shiv Bhole Ka Darbar Hai,

Are Sookhe Hue Baag Hriday Ke Yahin Khil Jaate Hain ।

Muddaton Se Bichhde Hue Bhi Yahin Mil Jaate Hain ॥


Are Main To Bah Gaya Tha, Bah Gaya Tha, Bah Gaya Tha...

Bah Gaya Tha Shri Ganga Ji Ki Dhaar Mein ।

Log Kuch Naha Rahe The Ghaat Ke Us Paar Mein,

Ek Sant Ki Padi Bahte Hue Mujhpe Nazar ।

Kehte Hain Kuch Log Wahi Laaya Mujhe Tairkar ॥


Hosh Mein Laakar Mujhe Batlaya Wo Teri Khabar,

Aur Bola Seedhe Ja Chala Tu Maa Dham Ki Dagar ।

Are Patni Teri Kar Rahi Hai Bas Tera Hi Intezaar,

Teri Judai Mein Ho Gayi Hai Bechari Behaal ॥


Aur Bah Rahi Thi Sant Ke Sar Se,

Khoon Ki Ek Moti Si Dhaar ।

Poochha Maine Sant Se Ye Dekh Karke Baar Baar,

Kya... He Baba, He Baba...

Par Meri Pagli Beti Ko Mujhse Bada Hai Pyar Hai,

Par Hai Badi Ziddi Aur Duniya Se Wo Nadaan Hai ।

Par Kuch Bhi Ho Main Hoon Pita Aur Wo Meri Santaan Hai,

Par Kuch Bhi Ho Main Hoon Pita Aur Wo Meri Santaan Hai ॥

Tab To Wo Ghabra Gayi Sunkar Pati Dev Ke Bayaan Ko,

Ki Naath Main Bhi To Maar Baithi Thi Ek Sant Dayavan Ko ॥


Aur Patni Boli,

Phir Patni Boli Naath Ab Kanwad Abhi Mangaiye,

Phir Patni Boli Naath Ab Kanwad Abhi Mangaiye ।

Aur Mere Saath Bhole Ji Ko Chal Ke Jal Chadhaiye ॥

Haath Mein Jal Paatra Liye Jab Dono Aage Badhe,

Dekha Muskurate Hue Sant Ko Wahan Khade ।

Aur Dekhke Unko Wahan Ho Gaye Hairaan Hain,

Kya Divya Roop Unka Hai Chehra Prakashvaan Hai ॥


Phir Unhein Dikhlai Pada Bahti Hai Jata Se Gang,

Aur Bhole Baba The Khade Hanste Hue Gauri Ke Sang ।

Thamne Ko Shiv Charan Wo Dono Jab Aage Badhe,

Lop Ho Gaye Bhole Ji Shiv Ling Pe Wo Gir Pade ॥

Tab Ro Ke Wo Kehne Lage Galti Kshama Kar Dijiye,

Aap Ki Sharan Mein Hain Baba Daya Kar Dijiye ।

Dhanya Hai Maya Teri Tu Daani Dayavan Hai,

Charnon Mein Apnaiye Hum Moorkh Hain Nadaan Hain ॥


O Bhole Tera Bhed Koi Paaya Nahi Paar Hai,

Poojta Hai Tumko Tabhi Sabhi Sansar Hai ।

Phir Dono Praani Bhole Ko Kanwar Chadha Hue Prasann,

Phir Dono Praani Bhole Ko Kanwar Chadha Hue Prasann ॥


Aur Gaane Lage...

Oye Gaane Lage 'Sharma' Jal Chadha Ke Prem Se Bhajan,

Kya...

Ye Lo Sambhalo Lo Sambhalo Lo Sambhalo,

Lo Sambhalo Bhole Apni Kanwar ।

Ban Gayi Main Suhagan Yahan Pe, Ban Gayi Main Suhagan Yahan Pe,

Yahan Pe, Yahan Pe, Ban Gayi Main Suhagan Yahan Pe ।

Ban Gayi Main Suhagan Yahan Pe, Ban Gayi Main Suhagan Yahan Pe ॥