READING MODE
20


|| DOHA ||

Laali Meri Maat Ki,

Jit Dekhoon Tit Laal ।

Laali Dekhan Main Gaya,

Main Bhi Ho Gaya Laal ॥


|| BHAJAN ||

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Sheronwali Ka Chola Hai Rangla ।

Mehronwali Ka Chola Hai Rangla,

Jotawali Ka Chola Hai Rangla ॥

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla,

Maa Vaishno Ka Chola Hai Rangla ।

Ho Bhavan Maiya Ka Laal,

Chola Hai Rangla Rangla ॥

Rangla Rangla...

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Suva Chola Ang Biraaje,

Suva Chola Ang Biraaje ।

Suva Suva Chola Ang Biraaje,

Lagi Kinari Laal Chola Hai Rangla ॥

Rangla Rangla...

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Sir Sone Ka Chhatra Biraaje,

Sir Sone Ka Chhatra Biraaje ।

Heere Aparampaar Chola Hai Rangla ॥

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Ashwin Chait Mahina Aave,

Ashwin Chait Mahina Aave ।

Chale Pawan Ki Chaal Chola Hai Rangla ॥

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Paan Supari Dhwaja Nariyal,

Paan Supari Dhwaja Nariyal ।

Maa Ki Bhent Chadha Ke Chola Hai Rangla ॥

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Sheronwali Mata Meri,

Ho Sheronwali Mata Meri ।

Mehronwali Mata Meri,

Mehronwali Mata Meri ॥

Sabko Kare Nihaal Chola Hai Rangla ॥

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥


Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Sheronwali Ka Chola Hai Rangla ।

Mehronwali Ka Chola Hai Rangla,

Jotawali Ka Chola Hai Rangla ॥

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla,

Maa Vaishno Ka Chola Hai Rangla ।

Ho Bhavan Maiya Ka Laal,

Chola Hai Rangla Rangla ॥

Rangla Rangla...

Maiya Ka Chola Hai Rangla,

Ambe Rani Ka Chola Hai Rangla ॥