Subah Shaam Aathon Yaam,
Yahi Naam Liye Ja ।
Khush Honge Hanuman,
Ram Ram Kiye Ja ॥
Likha Tha Ram Naam Wo,
Patthar Bhi Tar Gaye ।
Kiye Ram Se Jo Bair,
Jeete Ji Wo Mar Gaye ॥
Bas Naam Ka Raspaan,
Ae Insaan Kiye Ja ।
Khush Honge Hanuman,
Ram Ram Kiye Ja ॥
Ram Naam Ki Dhun Pe Nache,
Ho Kar Ke Matwala ।
Bajrangi Sa Is Duniya Mein,
Koi Na Dekha Bhala ॥
Jo Bhi Hanumat Ke Dar Pe Aata,
Uska Sankat Taala ।
Mukh Mein Ram, Tan Mein Ram,
Jape Ram Ram Ki Mala ॥
Jahan Ram Ka Kirtan,
Wahin Hanuman Jati Ho ।
Godi Mein Ganpati Ko Lein,
Shiv Parvati Ho ॥
Siyaram Ki Kripa Se,
Sau Saal Jiye Ja ।
Khush Honge Hanuman,
Ram Ram Kiye Ja ॥
Jispe Daya Shri Ram Ki,
Baanka Na Baal Ho ।
Uska Sahai 'Lakkh',
Anjani Ka Laal Ho ॥
'Rajpal' Tu Har Haal Mein,
Jaikaar Kiye Ja ।
Khush Honge Hanuman,
Ram Ram Kiye Ja ॥
Subah Shaam Aathon Yaam,
Yahi Naam Liye Ja ।
Khush Honge Hanuman,
Ram Ram Kiye Ja ॥