READING MODE
20


|| BHAJAN ||

Jab Zid Pe Aa Gayi Parvati,

Samjhane Pahunche Saptrishi ॥


Kaay Zid Kar Rahi,

Kaay Ko Mar Rahi,

Aise Var Ke Laane ।

Jaake Sees Pe Ganga Aur Gale Mein,

Daale Phir Rahe Saanp ॥

Itne Seedhe-Saade Hain,

Sab Kehte Bholenath, Bholenath ॥


Na Khapra Na Chhapra,

Na Phoos Ki Dhare Madaiya ।

Ka Khaave Ko Dharo Wahan,

Bas Rovat Rahat Ladaiya ॥

Bhesh Dhare Avadhoot Phire,

Ab Tumse Ka Kahein Binnu ।

Dora Daangar Le Ghoomein,

Ve Inke Kachhue Naiyaan ॥


Kaay Zid Kar Rahi,

Kaay Ko Mar Rahi,

Aise Var Ke Laane ।

Jaake Sees Pe Ganga Aur Gale Mein,

Daale Phir Rahe Saanp ॥

Itne Seedhe-Saade Hain,

Sab Kehte Bholenath, Bholenath ॥


Jata Lata Na Kabahun Sanware,

Deesat Maha Bhayankar ।

Mood Pe Aadho Chanda Aur,

Bela Pe Ghoome Shankar ॥

Ram Naam Ke Rasiya Hain Ve,

Aur Unhein Kya Chaahne ।

Kamdev Ke Mardanhaari,

Ghar-Grihasthi Kya Jaane ॥

Are Ghar-Grihasthi Kya Jaane ॥


Kaay Zid Kar Rahi,

Kaay Tap Kar Rahi,

Aise Var Ke Laane ।

Jaake Sees Pe Ganga Aur Gale Mein,

Daale Phir Rahe Saanp ॥

Itne Seedhe-Saade Hain,

Sab Kehte Bholenath, Bholenath ॥