READING MODE
20


|| BHAJAN ||

Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain,

Aur Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥


Ho Jaate Hain Jiske Apne Paraye,

Hanuman Usko Kanth Lagaye ।

Jab Rooth Jaaye Sansar Saara,

Bajrangbali Tab Dete Sahara ॥

Apne Bhakton Ka Bajrangi Maan Karte Hain,

Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥


Duniya Mein Kaam Koi Aisa Nahi Hai,

Hanuman Ke Jo Bas Mein Nahi Hai ।

Jo Cheez Maango, Pal Mein Milegi,

Jholi Ye Khaali Khushiyon Se Bharegi ॥

Sachche Man Se Jo Bhi Inka Dhyan Karte Hain,

Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥


Kat Jaaye Sankat Inki Sharan Mein,

Baith Ke Dekho Bajrang Ke Charan Mein ।

'Lakkha' Ki Baaton Ko Jhooth Mat Maano,

Phir Na Phansoge Jeevan Maran Mein ॥

Inke Seene Mein Hardam Siya Ram Rehte Hain,

Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥


|| CHAUPAI ||

Aur Devta Chitt Na Dharai,

Hanumat Sei Sarv Sukh Karai ।

Sankat Katai Mitai Sab Peera,

Jo Sumirai Hanumat Balbeera ॥


Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain,

Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥