Mere Baba Barfani...
Bhookhe Ko Ann... Pyaase Ko Paani...
Chalo Amarnath, Chalo Amarnath,
Chalo Amarnath Pyare, Bam Bam Ke Laga Naare ॥
Har Har Ke Laga Naare, Bam Bam Ke Laga Naare ॥
Amarnath Ki Amar Yatra, Karta Kismat Wala,
Adbhut Gufa Vishal Nirali, Darwaza Na Taala ॥
Har Har Bam Bam, Har Har Bam Bam,
Har Har Bam Bam, Har Har ॥
Durgam Ghati, Rasta Hai Kathin, Bas Chalta Hi Ja Re,
Har Har Ke Laga Naare, Bam Bam Ke Laga Naare...
Chalo Amarnath Pyare, Har Har Ke Laga Naare,
Bam Bam Ke Laga Naare, Har Har Ke Laga Naare ॥
Mere Baba Barfani...
Bhookhe Ko Ann... Pyaase Ko Paani...
Har Har Bam Bam, Har Har Bam Bam,
Har Har Bam Bam, Har Har ॥
Ho Shiv Ne Yahan Pe Parvati Ko, Amar Katha Thi Sunai,
Ved Puranon Ne Bhi Mahima, Amarnath Ki Gaayi ॥
Har Har Bam Bam, Har Har Bam Bam,
Har Har Bam Bam, Har Har ॥
Kadam Kadam Man Ko Mohe, Kudrat Ke Nazare,
Har Har Ke Laga Naare, Bam Bam Ke Laga Naare...
Chalo Amarnath Pyare, Har Har Ke Laga Naare,
Bam Bam Ke Laga Naare, Har Har Ke Laga Naare ॥
Mere Baba Barfani...
Bhookhe Ko Ann... Pyaase Ko Paani...
Bhole Ji Ke Dham, Amarnath Ji Ke Dham ॥
Chalo, Chalein Bhakto, Gauri Nath Ji Ke Dham,
Chalo, Chalein Bhakto, Uma Nath Ji Ke Dham ।
Bhole Ji Ke Dham, Amarnath Ji Ke Dham ॥
Jaikara... Barfani Baba Ka...
Bol, Bhole Amarnath Ki Jai ।
Jaikara... Shiv Kailashi Ka...
Bol, Bhole Amarnath Ki Jai ॥
Baba Barfani Ji Ke Dham, Jo Bhi Jayenge ॥
Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Munh Manga Phal Payenge ।
Munh Manga Phal Payenge Wo, Man Chaha Phal Payenge ॥
Ho, Munh Manga Phal Payenge Wo, Man Chaha Phal Payenge ।
Jo Bhi Sachchi Bhavna Se, Unki Mahima Gayenge,
Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Munh Manga Phal Payenge ॥
Ho, Dhan Vaibhav Ki Ganga Bahegi, Ghar Mein Kami Na Koi Rahegi ।
Shiv Se Naata Jod Ke, Shiv Se Naata Jod Ke ॥
Ho... Kashton Ka Andhkaar Mitega, Dukh Ka Kaala Megh Chhatega ।
Us Pe Sab Kuch Chhod Ke, Us Pe Sab Kuch Chhod Ke ॥
Bhole Ji Ke Dar Pe Jo Bhi, Jholiyan Failayenge,
Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Man Chaha Phal Payenge ॥
Paap Tumhare Dhul Jayenge, Bhaag Ke Dwaare Khul Jayenge ।
Wahan Pe Ja Ke Dekhiye, Wahan Pe Ja Ke Dekhiye ॥
Rank Se Raja Ban Jaoge, Tum Maha Daani Kehlaoge ।
Matha To Sab Tekiye, Matha To Sab Tekiye ॥
Bas, Sar Ke Saath Jo Bhi Wahan, Man Ko Jhukayenge ॥
Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Munh Manga Phal Payenge ।
Ho, Munh Manga Phal Payenge Wo, Man Chaha Phal Payenge ॥
Are, Dukh Unke Mit Jayenge Wo, Sukh Ke Moti Payenge ।
Ho, Baba Amarnath Ji Ke Dham, Jo Bhi Jayenge...
Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Munh Manga Phal Payenge ॥
Baba Amarnath Ji Ke Dham, Jo Bhi Jayenge ॥
Mere Shiv Bhole Bhandari Se Wo, Munh Manga Phal Payenge ॥
Bhole Ji Ke Dham, Amarnath Ji Ke Dham ।
Chalo...
Bhole Ji Ke Dham, Amarnath Ji Ke Dham ।
Chalo Chalo...
Chalo, Chalein Bhakto, Gauri Nath Ji Ke Dham,
Chalo, Chalein Bhakto, Uma Nath Ji Ke Dham ।
Bhole Ji Ke Dham, Amarnath Ji Ke Dham ॥
Jaikara... Bhole Bhandari Ka...
Bol, Bhole Amarnath Ki Jai ।
Jaikara... Damru Dhari Ka...
Bol, Bhole Amarnath Ki Jai ॥